Laut Aau Apne Chinaron Ki Chaon Mein..

312

By Bashir Dada, A Kashmiri Poet 

Firdaus me paley badhey khana badosh log …
Sehra ki tez dhoop mein jo dar azab hai…
Kya koi Peshwa hai jo awaz de inhe …
Ab laut aau apne Chinaron ki chaon mein..
Jab Krishn Razdan ke likhe hue bhajan..
Tibet bakal gaate akidat ke saaz pe..
Aima Vijay ke gaye hue naat wa mankibath..
Sukha hai arz e haal pe mazi ka har shajar..
Kab aayega woh waqt ki mil jul ke dekh le..
Kous kiz swaar ho khushbu ke dush pe..
Lehrey bachaein saaz tau gayen kawal ke phool..
Kab shab karen gey Char Chinari mein baith kar..
Aiy Rab hamein jang wa jadal se najat de..
Phir se ujad na jaaye kabhi waadi gulposh..
Gusee me dubo de na hamein phir se vitasta..
Aagey na kabhi Jeel Wular khoon se pamposh ….

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here